Wednesday, December 9, 2015

Bahoot Mayush Ho Gaya Hai Ab Dil Bechara.

Kahan Jaye Ye Jahan Mein Nafraton Ka Mara,
Bahoot Mayush Ho Gaya Hai Ab Dil Bechara.

Kuch Kehta Nahin Kabhi Shikwa Nahin Karta,
Sehta Rehta Hai Ye Tanha Hi Wo Ghum Sara.

Na Manzeel Hai Koi Nahi Koi Humsafar Is Ka.
Bhatak Raha Ye Bheed Mein Tanha Besahara.

Tootne Bikharne Ki To Ise Aadat Ho Gayi Ab,
Sirf Thokaron Mein Hua Hai Waqt Ka Guzara.

Gar Manzeel Se Bhatka To Phir Kahan Jaye Ye,
Waise Naam Bhi Mil Gaya Ab Ise Pagal Aawara.

Udti Khusboo Ko Mutthi Mein Giraftar Kya Karna



Main To Ek Khwaab Hoon Mera Aitbaar Kya Karna,
Udti Khusboo Ko Mutthi Mein Giraftar Kya Karna.   

Ye Sath Hai Apna Kuch Lamho Ke Liye Hi Bus,
Sham Ke Dhalte Huye Shaye Pe Ikhtiyar Kya Karna.

Mujhe Kyo Dhoondhte Ho Duniya Ki Bhid Mein,
Tanha Sakhs Ka Mehfil Mein Intezaar Kya Karna.

Meri Wo Quismat Hi Nahi Ki Koi Mujhe Soche,
Jahan Ke Samne Mera Zikra Bar-Bar Kya Karna.

Tanha Rehne Do Mujhe Chod Do Mere Haal Pe,
Nafrat Ke Kabil Sakhs Se Tumhein Pyar Kya Krana.

Wednesday, March 12, 2014


Mile Pyaar Ke Badle Mujhe Pyaar Zaroori To Nahin,
Har Khwahish Ka Karein Izhar Zaroori To Nahin.

Har Lamha Aankhon Mein Us Ke Deed Ki Pyaas Hai,
Wo Bhi Kare Kahin Mera Intezar Zaroori To Nahin.

Sote Nahin Ki Khwabon Mein Bhi Juda Na Ho Jayein,
Wo Bhi Rehte Ho Shayad Bekarar Zaroori To Nahin.

Mujhe Pyar Hai Us Se Meri Zindagi Se Bhi BadhKar,
Magar Sare Bazaar Ye Ikraar Zaroori To Nahin.

Abhi To Shuru Kiya Hai Safar E Muhabbat MaiNe,
Yahan Bhi Rashte Ho Humwaar Zaroori To Nahin.

Monday, January 13, 2014

           



Mushkilon Ka Jaise Hai Ek Safar Zindagi,
Kat Payegi Kaise Ye Meri BeHunar Zindagi.

Jaise Koi Sehra Ka Lamba Sa Safar Ho,
Is Tarah Karni Hoti Hai Basar Zindagi.

Milte Nahin Jahan Ek Baar Bichadne Wale,
Tanhaiyon Ka Aisa Hai Ye Shehar Zindagi.

Har Taraf Andhera Hai Har Taraf Dahsatein,
Kanto Bhara Lagta Hai Ab Ye Dagar Zindagi.

TootTe Taron Ki Tarah Dhalte Suraj Ki Tarah,
jaise Guzartri Huyi Sham Ki Ek Pahar Zindagi.



Tuesday, December 17, 2013



Khud Hi Apni Hasti Ko Ab Mita Raha Hun Main,
Shayad Ab Us Ko Bhoola Raha Hun Main.

Sab Ke Naseeb Mein Nahin Hoti Hai Muhabbat,
Ye Aaina Is Pagal Dil Ko Dikha Raha Hun Mein,

Ye Dooriyan Pasand Thi Use Ye Kaha Tha Us Ne,
Aaj Us Se Bahoot Door Kahin Ja Raha Hun Main.

Wada Kiya Tha Maine Use Har Khushi Dene Ka,
Wohi Ek Wada Aaj Bhi Nibha Raha Hun Main.

Kaha Tha Us Ne Achche Lagte Ho Hanste Huye,
Dekh Lo Aaj Bhi Tanha Mushkura Raha Hun Main.

Mein Ishq Ab Khud Se Bhi Door Ho Gaya Hun



Apne Dil Ke Hanthon Majboor Ho Gaya Hun,
Mein Ishq Ab Khud Se Bhi Door Ho Gaya Hun.



Junoon Hai Aisa Mujh Par Us Ki Muhabbat Ka,
Diwana Is Shaher Mein Mashoor Ho Gaya Hun.

Use Pana Bhi Mushkil Hai Khona NaMumkin,
In Halaaton Se Ab Main Ranjur Ho Gaya Hun.

Saanson Se Bhi Jyada Mujhe Chahat Hai Us Ki,
Par Us Ki BeRukhi Se Chur-Chur Ho Gaya Hun.

Sab Jeet Kiye Mujh Pe Muhabbat Ki Bazi Mein,
Haarte Rehne Ka Jaise Ek Dastoor Ho Gaya Hun.

Hum Apne Aap Ko Hi Aakhir Kahan TalaseNge.







Kahain Zamin To Kahin Pe Aasman TalaseNge,
Hum Apne Aap Ko Hi Aakhir Kahan TalaseNge.

Khud Kho Chuke Honge Bemanzeel Rahon Mein,
Ghum Ke Shahra Mein Kahin Shayban TalaseNge.

Samajh Paye Jo Shakhs Mere Hasrat E Dil Ko,
Koi Aisa Hi Ab Hum Ek Humzuban TalaseNge.

Khud Ko Jalte Dekhte Huye Bhi Bekhyali Mein,
Kahan Se Uth Raha Hai Ye Dhuan TalaseNge.

Ho Jayenge Khud Hi Door Is Bewafa Jahan Se,
Phir Khud Ko Hum Apne Hi Darmiyan TalaseNge